Tujhme mera Aks hai dikhta!
Bahot se Adhure Alfaz hai Tere,
Lagta hai kabhi ek kitaab sa,
Har panne me Raaz chupaye,
Ye kaisa Ehsaas sa,
Jab mai Dekhu Fikar me tujhko,
Dekhu Aksar soch me tujhko,
Ye sab mujhe tujhme dikhta hai,
Aey dost tujhme mujhe mera Aks dikhta hai,
Ladta tu har baat pe mujhse,
Pareshan mujhe karna teri Adat hai,
Tere Daant me mujhe kuch Fikr dikhe,
Masti karta jab tu mujhse,
Lagta hai kuch Apna sa mujhko,
Baat kare har baat pe mujhse,
Tujhe chidhana meri Adat jaise,
Jab tu meri madat karte dikhta hai,
Aye dost Tujhme mera Aks dikhta hai.
Duniya Aage chalti hai,
Tujhko ulta chalna hai,
Chahe kuch bhi hojaye,
Tujhko Apni karna hai,
Darta tujhko to nhi hai dekha,
Jab meri baat ko sunte dikhta hai,
Aye dost Tujhme Mera Aks dikhta hai.
Teri baat me maujood ek kahani hai,
Khushiya dena teri nishani hai,
Har ladko ko seekh mile ,
Teri baat Kuch Aisi nirali hai,
Aaine sa Shaffaf hai tu,
Jab Khudko dhoondta dekhta hai,
Aye dost Tujhme Mera Aks dikhta hai.
Shaikh Shabana
On fire baby❤️๐ฅ๐ฅ
ReplyDeleteThanks dear
DeleteOssum. . Friends forever ☺
ReplyDeleteOsm good ☺☺
ReplyDeleteShukriya Dosto๐ฅฐ
ReplyDeleteThis is my favourite poem that you wrote till Date.
ReplyDeleteKeep writing...
Thanks ๐ฅฐ
DeleteVery Nice poem keep writing......
ReplyDeleteBahot Shukriya Ap sabhi ka
DeleteIs it for shah nagma ?☺️
ReplyDeleteIt is for all my dearest ❤️ Friends๐ฅฐ
ReplyDeleteNice
ReplyDeleteThanks
DeleteVery nice
ReplyDelete