Aagaze Sham



Ek Sham khudke naam karana hai,
Wo Chandni ko Angan me lana hai,
Dosto ko yaad Dilana hai,
Is jaha ko batana hai,
Mujhe Ek agaze sham karana hai
Ek aagaze......

Zindagi ke modd to takti rehti hu mai humesha,
Us din ka intezar hai mujhko,
Jiski sham ka nazrana hai,
Wo sham ki mastiya, wo chai ki chuskiya,
Sard hawaye mehfil sajaye,
Meri roothi zindagi ko mujhe khud manana hai ,
Ha mujhe Aagaze sham karana hai
Ek agaaze......

Zindagi ke roothi hui h usko manana hai,
Apne saare iLzam hatana hai, khudko kabil banana hai,
Bharose ko jitana hai, mujhe mehfil bulana hai ,
Apne naam ko sajana hai,
Mujhe Aagaze sham karana hai,
Ek agaaze...

Mujhe be khoob rona hai,
Pakad ke Maa ka daman,
Mujhe bachpan ko lana hai,
Sabki nhi mujhe khudki khushiya manana hai,
Maa ke haatho ko choom kr mujhe Aansu bahana hai
Apni taraqqi ka parwaz chadhana hai,
Ha aesi hi mujhe ek agaaze sham karana hai, ek agaaze... 

Mera bas naam us mehfil ki shaan hojaye,
Waha baithe har shaksh ko mera khayal hojaye,
Kare ye saare log jiska intezar,
Aesi khubsurat si pehchan banana hai 
Mujhe ek roz ye aagaze shaam karana hai,
Ek aagaze....


Hiba Shaikh

Comments

  1. After reading this shayri really bachpan ke wo din Yaad agae����

    ReplyDelete
  2. Reading such a masterpiece at midnight is probably the best experience I've ever had till date...
    Keep writing.
    The best.... ❤

    ReplyDelete
  3. Wonderful poetry❣️ keep it up๐Ÿฅฐ

    ReplyDelete
  4. Very good ๐Ÿ’ keep it up

    ReplyDelete
  5. Thanks to All for supporting and appreciating

    ReplyDelete
  6. Really heart touching this poem is wonderful .....good

    ReplyDelete
  7. Apki Agaze shaam padh kr mujhe mere sapne yaad agaye
    Beautiful poem
    Keep writing dear

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mere Humsafar ❤️

Raat ki Uljhan!