Posts

Showing posts from March, 2020

Mai Insaaf Hu !

Image
Badzuban hun, badguman hu, Benaam hu, bedisha bhi hu, Badtameez si beshumar hu, Mujhe har bandisho se Azad kar, Mai ek chota sa chirag hu, Tere khaak ki mai raakh hu, Teri kya haisiyat yaha , Mai sulagta sa chingar hu Main hu wahi khaake nishan, Tujhko mita du usi khaak me, Tere har zulm ki mai raat hu, Mere andar hi poori Aag hai, Mai hu tera ek faisla , Jisko kiya tabah tune , Mai hu tera har silsila, Tere saare ilzam chote se hai, Mai hu tere liye zalzala, Mujhse jara sambhal ke reh, Khatm krdungi tera hosla, Mai Misaal nhi , Mai to Rait hu ,  tujhe likh kar wahi chord du, Mat Rok in lehro ko tu, Darti nhi Tere baat se, Main hu wahi jiski zuban hai, Tere har nazar ki soch me, Noch lungi mai teri Aankh ko, Tere har hawas ke zajbaat ko, Tere haath ko tere baat ko, Mai Aag hu , main Sher hu, Mai hu Naye yug ki Roshni, Barsungi tujhpe raat din , Tere har Gunah ka mai Azab hu, Tere har Gunah ka Hisab hu, ...

Mai Likhti hu !

Image
Mai likhti hu jab khud ko tanha pati hu, Ghani raato ko jab jagti hu, Chupa kar sabse mai roti hu, Tab mai likhti hu Mai likhti hu jab apni baate samjha nahi pati, Mai likhti hu jab mujhe koi samjh nahi pata, Kehne ko to sab hai mere paas, Har rishto ki maujudgi hai mere paas, Main Likhti hu jab in rishto ke bawajud ulajhti hu, Sab rishte uljhe hai shayed khud me, Unko suljhate hue mai likhti hu, Jab khudko galat pati hu, Khudko nakamiyab dekhti hu, To mai likhti hu, Apne saath Do pal bitane ke liye mai likhti hu Na jane log itni talkhiya kyu dete h mujhe, Kyu mujhe ye peeche dhakelte hai, Mai likhti hu jab apne sawalo me ulajhti hu, Bahot kuch likh sakti hu par, Yahi rukti hu , Kuch Rishte bachane ke liye , Kuch raaz chupane ke liye, Main Likhti hu. Hiba Shaikh

EK WABA AGAI !

Image
Ek waba agai, Sabko dara gai, Ye kaisi hawa chal gai, Duniya ko Tabah kar gai, Logo ko ghar bitha gai, Nikalna mushkil kara gai, Ye kaisi waba agai, Har jagah iski parchai chhai hai, Kab tak teri tabahi hai, Zulm ki Aandhi badh gai hai, Aasman se narazgi aai hai, Ye kaisi waba aai hai, Jisne banaya ye jahan, Jisne banaya hai Insan, Jiska banaya karwa, Chalata jo hai ye Nizam, Jiske "kun" ki taqat hai bayan, Tum kon ho? Mitti ka bana ek nishan, Chale mitane uska Nizam, Isliye ye tabahi aai hai  Isliye ye waba aai hai. Ye kaisa toofan aya hai, Har jagah Shor machaya hai, Bigaad ke uske kanoon ko , Tumne jo khushi manai hai, Isliye tum par ye aasman se qaher aai hai, Ye kaisi waba aai hai. Naraz baitha Aasmano par, Usne Apne Ghar me Aane ki pabandi lagai hai, Baitho Gharo me khud ke tum, Kab tak  karoge ab zulm tum, Ab tumhari baari aai hai, Ye kaisi waba aai h. Band rakhoge sabko ghar me kab t...

Dekha hai !

Image
Kabhi har  Rishte me muskura kar dekho, Duniya haseen lagti hai, Kabhi Aasma ko zameen pe Aate dekha hai, Kabhi Zameen ko Aasma ki taraf dekha hai, In badalo ko bikharte hue dekha hai, Chand bahot khubsurat hai, Magar suraj ki roshni se , Uska wajood chupte hue dekha hai. Kismat me maut kaha , Is zamane me,Apno ka apno se khoon hote hue dekha hai, Yaha " MAA " ko beghar hote hue dekha hai, Logo ne bahot taraqqi karli ,lekin Insaniyat ko peeche hote hue dekha hai. Ameero ki plate se khana aksar kachro ki dher me dekha hai, Gareebo ko bhooka reh ,Apna khana baant ta hua dekha hai, Yaha humne Ehsaan karne walo ko dekha hai, Zubaan hai meethi unhe pairo se kuchalte hue dekha hai. Aj bhi roti hui si Maa maine dekha hai, Toot ta hua uska vishwash maine dekha hai , Jis insan ne poori zindagi qurbaan kardi , Aj usko apne Inaam me Asharam me jate hue dekha h. Hiba Shaikh

Aagaze Sham

Image
Ek Sham khudke naam karana hai, Wo Chandni ko Angan me lana hai, Dosto ko yaad Dilana hai, Is jaha ko batana hai, Mujhe Ek agaze sham karana hai Ek aagaze...... Zindagi ke modd to takti rehti hu mai humesha, Us din ka intezar hai mujhko, Jiski sham ka nazrana hai, Wo sham ki mastiya, wo chai ki chuskiya, Sard hawaye mehfil sajaye, Meri roothi zindagi ko mujhe khud manana hai , Ha mujhe Aagaze sham karana hai Ek agaaze...... Zindagi ke roothi hui h usko manana hai, Apne saare iLzam hatana hai, khudko kabil banana hai, Bharose ko jitana hai, mujhe mehfil bulana hai , Apne naam ko sajana hai, Mujhe Aagaze sham karana hai, Ek agaaze... Mujhe be khoob rona hai, Pakad ke Maa ka daman, Mujhe bachpan ko lana hai, Sabki nhi mujhe khudki khushiya manana hai, Maa ke haatho ko choom kr mujhe Aansu bahana hai Apni taraqqi ka parwaz chadhana hai, Ha aesi hi mujhe ek agaaze sham karana hai, ek agaaze...  Mera bas naam us mehfi...