Mai Insaaf Hu !


Badzuban hun, badguman hu,
Benaam hu, bedisha bhi hu,
Badtameez si beshumar hu,
Mujhe har bandisho se Azad kar,
Mai ek chota sa chirag hu,
Tere khaak ki mai raakh hu,
Teri kya haisiyat yaha ,
Mai sulagta sa chingar hu

Main hu wahi khaake nishan,
Tujhko mita du usi khaak me,
Tere har zulm ki mai raat hu,
Mere andar hi poori Aag hai,
Mai hu tera ek faisla ,
Jisko kiya tabah tune ,
Mai hu tera har silsila,
Tere saare ilzam chote se hai,

Mai hu tere liye zalzala,
Mujhse jara sambhal ke reh,
Khatm krdungi tera hosla,
Mai Misaal nhi ,
Mai to Rait hu , 
tujhe likh kar wahi chord du,
Mat Rok in lehro ko tu,
Darti nhi Tere baat se,

Main hu wahi jiski zuban hai,
Tere har nazar ki soch me,
Noch lungi mai teri Aankh ko,
Tere har hawas ke zajbaat ko,
Tere haath ko tere baat ko,

Mai Aag hu , main Sher hu,
Mai hu Naye yug ki Roshni,
Barsungi tujhpe raat din ,
Tere har Gunah ka mai Azab hu,
Tere har Gunah ka Hisab hu,
Is zamane ka mai jawab hu,
Insaaf hu , mai is jaha ka insaaf hu. 


Shabana Shaikh

Comments

  1. نظم میں انصاف کے الگ الگ پہلو کے بارے میں بتایا گیا ہے، نظم کے مطابق انصاف کسی بندش میں ہے جس سے وہ پریشان ہے اور اسی طرح وہ انصاف کیا کچھ کرسکتا ہے اس کے بارے میں بھی بتایا گیا ۔

    ReplyDelete
  2. Aap thoda thik hai
    Lekin ye insaaf wo h jaha zulm karke insaan apne aap ko logo ke samne Sahi sabit karta hai
    Mazlum ko poori zindagi sehna padta hai,
    Ye mazlumo ke saath hai ki ab tumhara Faisla hum khud karenge ab insaaf humara hoga.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Aagaze Sham

Mere Humsafar ❤️

Raat ki Uljhan!