EK WABA AGAI !
Ek waba agai,
Sabko dara gai,
Ye kaisi hawa chal gai,
Duniya ko Tabah kar gai,
Logo ko ghar bitha gai,
Nikalna mushkil kara gai,
Ye kaisi waba agai,
Har jagah iski parchai chhai hai,
Kab tak teri tabahi hai,
Zulm ki Aandhi badh gai hai,
Aasman se narazgi aai hai,
Ye kaisi waba aai hai,
Jisne banaya ye jahan,
Jisne banaya hai Insan,
Jiska banaya karwa,
Chalata jo hai ye Nizam,
Jiske "kun" ki taqat hai bayan,
Tum kon ho?
Mitti ka bana ek nishan,
Chale mitane uska Nizam,
Isliye ye tabahi aai hai
Isliye ye waba aai hai.
Ye kaisa toofan aya hai,
Har jagah Shor machaya hai,
Bigaad ke uske kanoon ko ,
Tumne jo khushi manai hai,
Isliye tum par ye aasman se qaher aai hai,
Ye kaisi waba aai hai.
Naraz baitha Aasmano par,
Usne Apne Ghar me Aane ki pabandi lagai hai,
Baitho Gharo me khud ke tum,
Kab tak karoge ab zulm tum,
Ab tumhari baari aai hai,
Ye kaisi waba aai h.
Band rakhoge sabko ghar me kab tak tum,
Maut likhi hai to Aani hai,Aani hi hai ghar tak,
Hospital me zinda rakhoge kab tak tum,
Naraz hai khuda ab bhi,
Mana lo tum usse jald hi,
Tauba karo tum sab bhi,
Ye waba bhi,ye saza bhi ,
Uski Raza se jayegi.
Ye kaisi waba aai hai
Ye kaisi Saza lai hai.
Hiba Shaikh
Sch me khuda naraz h๐๐ญ bht naraz h
ReplyDeleteNaraz to Khuda bahot hai๐
DeleteBahut khoob.....sach ka aina hai ye kavita ........
ReplyDeleteShukriya Bas koshish ki hai Aine ko dikhane ki
DeleteThanks To All
ReplyDeleteThanks guys
ReplyDeleteSach hi to h khuda se touba karo ......wohi mehrban h......Allah hum sabko is waba se door rakhe....ameen
ReplyDeleteAmeen๐ค
Delete๐๐๐
ReplyDeleteShukriya
DeleteHum sab is bimari se sach me bahot pareshan hai Allah hum sab Se raazi hojaye
ReplyDeleteAbsolutely correct
ReplyDelete